Teri Mayusi mein bhi ek aaas nazar aati hai,
Tu dur hai phir bhi paas nazar aati hai.
Tera chalna, hasna, wo dheere dheere muskurana
Tera ruthna, manana, wo phir rooth jaana.
Tujhe jitna bhi jaanu utna kam, tu jaan pehchan ke bhi Anjan nazar aati hai,
Tu maane ya na maane, par tu meri jaan nazaar aati hai
Tera ruk ke mujhe dekhna, ya dekh ke ruk jaana,
Teri aankhen, teri baatein, wo teri sari harkatein
Tu har haal mein meri jaan kuch khas nazar aati hai
Tu dur hai phir bhi paas nazar aati hai...